Nikle the duniya ko badalne
Par haal hua kuch aisa
Duniya ne humko hi badal dala
Socha tha kaam karenge kuch aisa
Ke itihaas bhi yaad kare
Par haal hua kuch aisa
Khud hi itihas ke panno me kho baithe
Leke gaye dil apna hatheli par
Aaj pyaar ka ikraar karna tha
Par haal hua kuch aisa
Ussi haath pe rakhi bandha baithe
Dosti nibhayi bina kuch soche samjhe
Dost nahi parivar the vo mere
Par haal hua kuch aisa
Humne to sabko diya kandha
Par humko sahara dene wala koi na mila
No comments:
Post a Comment